No Tear, No Fear !
Agar mar – mar ke Jee rahe ho to Jinda nahi ho Tum,
Kasoor Dil ka tha, Khata kisi aur Ne ki,
Jo Tumhara kabhi tha hi nahi, Kyo Us Bewafa ki,
Yaad mein Aansu baha rahe ho Tum,
Sapno ke Sheesho ko tod, In Beparwah saayo ka Rukh mod,
Wo ek Sapna jo Aankh mein kahin Kho gya hai,
Use Dhoondh aur Khwabon ki Chadar phir se oudh,
Ek Sapna jo Aankh mein kahin Kho gya hai...
Ek Tadpata Dil tha jo kahin Bebas hokar so gya hai,
Chal uath Us befikra Mahobbat ki Fikra ko chhod,
Ab Dhadkan ko phir se Sun,
Un Sapno ko phir se Bun,
Is Gam-E-Dil ko baanth aur Iska jikra Hakikat se kar,
Jo Tujhse Na Chahte huye bhi ho gya hai,
Sapno ki Duniya se parda hata, Hakikat ke Aangan mein
khel,
Kya soch raha hai bar – bar, Tanhai to hai Sabka Hissa,
Pyar ka Gam hai Sabka kissa,
Chhod ye Baatein jo kehti hai ki Kasoor Iska – Uska,
Ek Panchhi hi to tha jo pinjre se Kahin Uad gya hai,
Wo aaj har roz beparwah khule Aasman mein Uadta hai,
Tu kyo Us beparwah ki Yaad mein rota hai,
Chal Uath Tu bhi Hounslo ke Pankh laga,
Tu bhi Uadega, Tu bhi Badhega,
Dhoondh Us Aaj ko jo Kal ki Chinta
mein kahin Kho gya hai,
Chal Uath Sapno ki Duniya ko phir se
Basa,
Dhoondh Khud ko Is gumnam duniya main,
Tu bhi ek Panchhi hai jo Is matlabi
duniya mein kahin Kho gya hai,
Chal Uath, Tu bhi ek Panchhi hai,
Tub hi Uadega aur Tub hi Badhega…
KEYWORD TAG: SAD LOVE POEMS, LOST LOVE POEMS, INNOCENT LOVE POEMS, LOVE DRAMA, SHORT LOVE POEMS
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें