संदेश

नवंबर, 2013 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Tera Wo Apna Main Tha..

चित्र
Tere Sath bitaye Un Lamho ko, Har pal Jeeta hun main, Teri yaadon ke Zahar ko, Roz peeta hun main, Maine Suraj ki Khilti Dhoop mein bhi , Ek Chaand dekha tha, Maine tere Aanchal mein chhipa, Meri Jindagi ka ek Khwab dekha tha, Teri Saanso se Jooda, Meri Rooh ka har Aks tha, Jo tujhe toot kar Chahta tha, Us Bheed mein wo Shaks main tha...

Ye Mahobbat Sirf ek Dhokha hai!

चित्र
Ye Wafa aur Ye Ishq keval baatein hain, Ye Ishq or Mahobbat gam ki Sougate hain, Wo shaks jiski Aankhon mein kabhi Aansoo na tha, Wo aaj kyo toot raha hai, Wo jo Chaand Falak pe pahuchne wala tha, Aaj kyon Doob raha hai, Wo Ada aur Wo Wafa, Sirf Aankhon ka ek Dhokha tha, Wo Ishq or Mahobbat sirf Zazbaaton ka ek Sauda tha...

Maine Aaj bhi Tujhe Chaand mein Dhoonda hai

चित्र
Kabhi Pyar aur Kabhi Nafrat, Ishq aur Mahobbat ka ye khel Sachcha - Jhoota hai, Maine hawaao ka Rukh modkar, Teri Khushboo ko Loota hai, Humne Chaand se thodi Chaandni kya mang li, Ab Chaand bhi humse Rootha hai...

Maine Sirf Tujhse Mohabbat Ki Hai ♥

चित्र
♥ Teri har baat se Mohabbat ki hai, Tere ehsaas se Mohabbat ki hai Tu mere pas nahi hai phir bhi, Teri yaad se Mohabbat ki hai ♥ ♥ Main tumko kis tarah bhool sakta hoon, Maine teri har Ada se Mohabbat ki h ai Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga, Maine un lamho se Mohabbat ki hai ♥

Kash ye Ishq Parwaan Naa Chadhta...

चित्र
Ishq ka Naam sunte hi, Dil mein ek Dard sa uthta hai, Ki kash ye Ishq parwaan naa chadhta, To Jindagi ke Safar ke kya Silsiley hote, Ye toofan jo Dil mein naa utha hota, To ye Phool jo sukh chuke hain, Dil ke Es bagiya mein aaj bhi khil rahe hote, Kash hamari Manjil ek naa hoti, Aur hum Raaste mein yun mile naa hote, Kash ye Ishq parwaan naa chadhta, Aur naa hi ye shikwe-gile hote...

Mere Muqaddar Mein

चित्र
Ae Khuda mere Muqaddar mein kya hai, Jise pana mere bas mein nahi, Main Jindagi jeene ke sapne dekhta hun, Kya ye bhi mere Haq mein nahi, Koi to wajah de ki ye Jindagi   Jee lu main, Ya itni Himmat de ki Es Jindagi ke Zahar ko pee lu main...

Main Phir Laut Aaunga !

चित्र
Teri yaadon mein, Tere khwabo mein, Teri Rooh mein, Teri Sanso mein, Tere Labzo mein, Teri baaton mein, Dhadkan bankar teri har Nabz mein, Neend bankar teri Aankhon mein, Pani banker tere Ashk mein, Teri jindagi ke har Aks mein...