Ye Khamkha to Nahi


Main Ab tak kyo Hun Jinda,
Kahin tu Iski Wajah to nahi,
Is Dil mein Teri Kasak jo hai,
Ye Khamkha to nahi.
Kyo sabkuch lag raha hai juda – juda,
Ye Dil kyo hai tere Andaaz pe Fida,
Kyo lag raha hai ki Mera Rab tu hi,
Tu hi Mera Khuda…
 Jeene mein Kuch Kami si kyo hai,
Ye Khamkha to nahi.
Meri Sanso ko teri Jarurat hai,
Tujhe toot kar Chahna bas yahi Meri Fitrat hai,
Main to Tujh se shuru aur Tujh pe hi Khatam hua,
Mere sath – sath chal raha hai Teri Yaadon ka dhuaa,
Mera har pal kyo hai tanha – tanha,
Aankhon mein ye nami si kyo hai,
Ye Khamkha to nahi.
Kyo har Jagah dikhai deta hai Tera hi Chehra,
Teri Sanso ki Khushboo aur Dil ye Mera thahra – thahra,
Kaha jau Tujhe Chhodkar, Mera ye Dil todkar aur ye Raste modkar,
Sab kuch Khatam ho gya par,
Main Aaj bhi kyo Hun Jinda,
Ye Khamkha to nahi, Khamkha to nahi…

Follow me on - True Words -@Love Poetry
....

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar