Jannat ki Hoor



Naa jane kab Chaand ka Deedar hoga,
Ab kab phir un Katil Nigaaho ka mujh pe vaar hoga,
Jo pas hokar bhi mere pas nahi tha,
Naa jane kab uski Mojudgi ka phir se Aehsaas hoga,
Naa jane kab phie se Chaand ka Deedar hoga,
Uski Aankhon ke Kajal ka aur Uske Labon ki Lali ka,
Uski bikhri Julfon ka aur girate -  sambhalte Aanchal ka,
Jannat se utri us Hoor ka aur uske beshkimti Noor ka,
Naa jane kab us Chandani pe ye Dil phir se Nisaar hoga,
Naa jane kab phie se Chaand ka Deedar hoga

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar