Eid Ka Chaand ! | Love Poem

Nazare gadaye Baithe the ki,
Aaj Falak pe mera Chaand Nazar aayega,
Meri Bheegi Palako pe,
Apni kuch Yaadein chhod jayega,
Par jab bhi Dhoondta Hun use,
Wo Badaalo mein kahin chhip jata hai,
Lakh manaya use par Naa jaane kyon,
Wo chhoti - chhoti Baaton pe Rooth jata hai..
 Mujhse mooh mod kar wo kahin chhip jata hai,
Bas Khwaabo mein hi Karib aata hai,
Raato ko jaag kar Sapne Sanjoye rakhe the,
Uske Intzaar mein Palake Bichhaye baithe the,
Ki Aaj Eid pe mera bhi Chaand Nazar aa jaye,
Wo khwaabo mein aakar meri Palke chhu jaye,
Uski Yaado se Bheegi  Aankhe  chhod jaye,
Par wo Mujhse Rootha Hua hai,
Naa jaane kya Baat hai,
Kabhi  jo Falak pe rehta tha,
Wo Aaj kyon Udaas Hai,
Kyon nahi meri Aankho ke pas hai,
Ae mere Khwabo ke Chaand,
Mere Aankho mein Sama  jaa,
Tere Roop ki Chaandni ka mujhe Deedar kara jaa,
Mere Hath Pakad yaa Mujhe chhod de,
Mujhe Jindagi de jaa,
Yaa Phir meri Saanso ki ye dor tod de!

Follow me on Facebook - MS Mahawar

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट