Tera Wo Apna Main Tha..


Tere Sath bitaye Un Lamho ko, Har pal Jeeta hun main,
Teri yaadon ke Zahar ko, Roz peeta hun main,
Maine Suraj ki Khilti Dhoop mein bhi , Ek Chaand dekha tha,
Maine tere Aanchal mein chhipa, Meri Jindagi ka ek Khwab dekha tha,
Teri Saanso se Jooda, Meri Rooh ka har Aks tha,
Jo tujhe toot kar Chahta tha, Us Bheed mein wo Shaks main tha...
 Teri Julfo mein Uljhi har Saans thi Meri,
Tere Saadgi pe Dhadhkan Beaawaz thi Meri,
Teri Aankhon mein Khushi ka, wo Ashk main tha,
Jo tujhe Sunai hi nahi diya, Pyar ka wo Shabd main tha,
Teri har Duaa mein, Har Ebaadat mein main tha,
Tujhe Dhoondte-Dhoondte jisne khud ko kho diya,,
 Jise Manjil Dhoond rahi thi, Wo Musafir main tha,
Jo Naa hokar bhi tere Sath tha, Wo Hath main tha,
Jo teri Chahat mein puri Raat jalta raha, Wo Chirag main tha,
Jo Khamosh Raat mein Akele Falak pe Chamakta raha, Wo Sitara main tha,
Jo Chaand ke Intzaar mein toot kar Jameen pe gir chuka tha, Wo Tara main tha,
Jo tere Sath Saaye ki tarah chalta raha, Wo Sahara main tha,
Jise Tu begana samajh baithi, Tera wo Apna main tha,
Teri Sapno ki Duniya mein ek toota hua Sapna main tha…

टिप्पणियाँ

  1. Hi,
    Consider this as a Small token of love and admiration for your blog . A Liebster Award.
    Liebster Award Page

    Random Waves Of My Fashion Kaleidoscope

    जवाब देंहटाएं
  2. Teri Yadon ke Jahor Ko.... Those memories kill slowly, dry quickly
    I remember " Time marches on
    but the memory stays
    torturing silently
    the rest of our days"- Tennyson
    Best wishes, nicely crafted and keep the going.

    जवाब देंहटाएं
  3. Beautiful poem.
    I nominated you for the Liebster award. You can collect your award here.
    http://theconchblower.blogspot.in/2013/11/another-liebster.html

    जवाब देंहटाएं

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar