Kash ye Ishq Parwaan Naa Chadhta...

Ishq ka Naam sunte hi,
Dil mein ek Dard sa uthta hai,
Ki kash ye Ishq parwaan naa chadhta,
To Jindagi ke Safar ke kya Silsiley hote,
Ye toofan jo Dil mein naa utha hota,
To ye Phool jo sukh chuke hain,
Dil ke Es bagiya mein aaj bhi khil rahe hote,
Kash hamari Manjil ek naa hoti,
Aur hum Raaste mein yun mile naa hote,
Kash ye Ishq parwaan naa chadhta,
Aur naa hi ye shikwe-gile hote...
 Kash Is Dil ko naa lgaya hota,
Is duniya se Pyar ko chhupaya hota,
Par Suraj ki Nazro se kaun chhip pata hai,
Ye Mitti ke log buri Nazar wale hai,
Inhe to Chaand mein bhi daag Nazar aata hai,
Phir Ishq to hamari Aankhon mein tha,
Wo kaha in se bach pata,
Hum jo sath nikal pade the,
Ab sath to chalna hi tha,
Main apni Parchhai se dur kaha bhaag jata,
Kash yun hamari nazre na mili hoti,
To Dil mein ye Pyar ke phool khile naa hote,
Kash hum mile hi naa hote,
To Is Dil mein ye jaljale naa hote,
Kash ye Ishq parwaan naa chadhta,
To Is phool si Jindagi ke safar ke kya Silsiley hote !

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar