Ae Jaindagi Tu Itni Nirash Kyo Hai !
Bas kal mein Jeeyen aur Kal ke liye,
Kal ke Is fer mein tune Aaj ko kho diya,
Gamo ke Andhero ko dekh wo Nirash tha,
Vo Raat hone se Pehle hi so gya ,
Ae Jindagi
Tu Itni nirash kyo hai,
Vo jo Pyar ke Sapne the,
Kal jo Apne the, unhe Aaj tune Kho diya!
Phoolo ke Bagiche
si Jindagi thi,
Khushnuma wadion ka Najara tha,
Mahakti
jindji ke har ek Pal ko Pyar se Sawanra tha…
Wo Waqt bhi Kho dia, wo Pal bhi Kho dia,
Itni Bebasi
thi Usne na jana,
Bas wo hi ek Abhaga tha,
Jo akle me Khoon ke Aansu ro liya,
Ae jindagi Tu Itni nirash kyo hai,
Kal jo Apne the unhe Tune kho diya !
Uski baaton se chalti hai, uski Julfo mein
ualzhati,
Us ki Khushbu se Mahakti aur,
Us ki Dhadkano mein basti thi Jindgi,
Kya wajah thi jo Sath chod dia usne na jana,
Vo Waqt aur kismat ka Mara tha,
Duniya ne jise Pathar mare, sheeshe ka
Dil tha uska,
Tune use Chhod kar aur bhi Tod dia,
Ae
jindgi Tu kahan hai, dil yahan aur Jaan wahan hai !
Ab wo kaise jeeyen?
Jab Dil ne Dhadkana aur Saanso ne
chalna chhod diya,
Ae Jindagi Tu Itni Nirash kyo hai,
Bas ek hi sawal puchhta hai wo Tujhse,
Kal jo Apne the, Kya wo Aaj bhi Apne
hain,
Ya phir usne Apno ko hamesha ke liye
Kho diya !
Follow me on Facebook - MS Mahawar
KEYWORD TAG : Hindi Love Poems, Sad Love Poems, Innocence Of True Love, Wedding Poems, Best Friend Poems, True Love, Satire, Love On air, About Life, Loneliness, Sad Love, Romance, Relationship
These benevolent of aeronaut are always inspiring and I elevate to book degree assemblage so I heavenly to travail many fair abstraction here in the portion, origination is but marvelous, change you for the part. phoenix interior design | arizona interior design | scottsdale interior designer
जवाब देंहटाएं