Aaj phir Chaand se meri Mulakat huyi !



Aaj phir Chaand se meri Mulakat huyi,
 Vo Ghabraya hua tha ,thoda Sharmaya hua tha,
Bas Nazaro aur isharo mein hi Baat hui,
Vo aaj bhi Chamak raha tha,
Na jane usme kya baat hai,
Par  itana pta hai ki uski Chandani par usko Naaz hai,
Ye chandani mein bhiga hua Husan hota bada Lazwaab hai,
Par usme bhi ek Daag hai!
Jab sheeshe toote to sab kuch Khamosh tha …
 Aaj Dil toota to Awaaj hui!
Aaj phir Chaand se meri Mukalat hui,
Tanha the to Aankhe band ki aur Raat hui ,
Aur us Raat mein mere Khwaabo ke,
Chaand ki Chandani se mulakat hui,
Maine use chhat pe bulaya tha,
Par wo apni Chandani ko kaha chhipata ,
Wo thoda Ghabraya hua tha,
Hawayen chali to sab kuch Khamosh tha,
Usne tez Saanse jo li to Sarsarahat hui!
Koi dekha naa le, koi sun naa le,
Bas  isharo mein hi Baat hui,
Main Raat bhar uske intzar mein chhat par khada raha ,
Aur Chandani ki Barsaat hui,
Aaj fir Chaand se neri Mulakat huyi!


Written By :  MS Mahawar
KEYWORD TAG : Innocent Love, Romance, Relationship, Wedding Poems, Love Hurts, Sad Love, Lost Love, Love In Air, Love Is Life

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar