Apni Nazaro se

Mujhe barbaad karne wale log,
Ab mujhe Barbaadiyo se bachaane ki Baat karte hain,
Kuch Puchho to in se,
Ye bade Ajeeb sawaal karte hain,
Kahin ud naa jaye koi Panchhi pinjre se ye Bandishe todkar,
Unki Hasrato ko todne ke ye Julm Tamam karte hain,
Khud apni Nazro mein gire huye log,
Ab Dusro ki Nazaro mein girne se bachne ki Baat karte hain…

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar