Mujhe yun hi Doobne de

Socha tha ki Tujhe pakar,
Main aur bhi Sanwar jaunga,
Par ye naa socha tha ki,
Tu na mili to main toot kar bikhar jaunga,
Mahobbat to mere liye ek Shabd hi tha,
Kabhi ye na socha tha ki,
Koi Mere samne apni Julf sawaar de aur,
Main uski Sadagi pe Mar jaunga...
 Chahat to Aaj bhi Itni hai ki,
Bas tu ek bar Pukaar de,
tere liye Kuch bhi kar jaunga,
Main teri Chahat ke Sagar mein,
Ek Machhali ki tarah Doob chuka hun,
Mujhe yun hi Doobne de,
Main isse bahar nikal gya to Mar jaunga…

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar