Sharad - Purnima Si Raat Nasheeli Hai Tu !


Teri ye Dilkash Adayein ,
Teri ye Kaatil Nigaahe ,
Teri Julfo ko chhuti huti ye Khushnaseeb Hawaye ,
Jo andhere ko apni Chaandni se Roshan kar de ,
Us Sharad - Purnima si Raat Nasheeli hai Tu...
 Kuch Dard hosh mein rehte huye bhi sah gaye ,
Kuch Ashq Aankhon se bahut kuch Keh gaye ,
Kuch Khwaab neendo ki Dahleez pe hi reh gaye ,
Mere Khamosh Lab jo bahut kuch keh gaye ,
Dil ke is Saaf Aangan mein ,
Sirf ek bikhri Rangoli hai Tu ,
Jise dekhte hi Sharab bhi beasar ho jaye ,
Jise dekhte hi Chaand bhi Sharm se chhup jaye ,
Use to chhupna hi tha ,
Uski Khoobsurti mein bhi jo ek Dag hai ,
Use to chhupna hi tha ,
Tera Husn jo aaj be-Naqaab hai ,
O Husn–e–pari ,
Tujhe dekhte hi Hosh kho baithe  hai ,
Sharab se jayada Nasheeli hai Tu ,
Jiski Mahak se Sanse dhool jaye ,
Us Phool ki Kali hai Tu ,
Main to khwaabon mein khoya rehta hun ,
Aur Kismat Ki saheli hai Tu ,
Chaand ki Chaandni ,
Gulab ki Pankhudiya ,
Ye Madhosh kar dene wali Adayein ,
Ye teri khushboo se Mahakti Haseen wadiyaa ,
Us Chaand ki Chaandni mein tujhe dhoondhta rehta hun ,
Meri Jindagi ki koi Unsuljhi Paheli hai Tu…

Written By :  MS Mahawar
  
KEYWORD TAG: Beautiful Love Poems, Sad Love Poems, Romantic Love Poems, Poems On Love and Relationship, Broken Heart Poems, Lost Love Poems, Love Birds, Love is Life Poems, My Princess, Fall In Love poems, short Love poems, Love Quotes

टिप्पणियाँ

एक टिप्पणी भेजें

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

रब्त क्या है परिंदों से पूछो | M S Mahawar